![]() |
|
![]() |
![]() |
Lyrics(hindi)
|
|
![]() |
--MALE--
Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum Lauta jo diya tune Chale jaayenge jahaan se hum --CHORUS--
Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum Tu pyaar ka saagar hai --MALE--
Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm Mm mm mm mm mm Ghaayal mann ka paagal panchhi Udne ko beqaraar Pankh hai komal, aankh hai dhundli Jaana hai saagar paar Ab tu hi isse samjha Raah bhoole the kahan se hum --CHORUS--
Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum Tu pyaar ka saagar hai --MALE--
Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm Mm mm mm mm mm Idhar jhoomke gaaye zindagi Udhar hai maut khadi Koi kya jaane kahan hai seema Uljhan aan padi Kaanon mein zara keh de Ke aaye kaun disha se hum Tu pyaar ka saagar hai Teri ek boond ke pyaase hum Tu pyaar ka saagar hai --------------------------------------------------------------------
Movie Name: Sagar
Lyric Name: Chehra Hai Ya Music Director: R. D. Burman Singer(s): Kishore Kumar Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya Saagar Jaisi Aankhon Vaali Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai Kaise Kaise Khwaab Ye Dil Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To Jaata Lamha Tham Jaaye Waqt Ka Dariya Behte Behte Is Manzar Mein Jam Jaaye Toone Deewana Dil Ko Banaaya Is Dil Par Ilzaam Hai Kya Saagar Jaisi Aankhon Vaali Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya... Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi Tera Saath Nahin Paaun To Khair Tera Armaan Sahi Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho Khamoshi Ke Mele Hon Is Duniya Mein Koi Nahin Ho Hum Dono Hi Akele Hon Tere Sapne Dekh Raha Hoon Aur Mera Ab Kaam Hai Kya Saagar Jaisi Aankhon Vaali Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya... -----------------------------------------------------------------------
Movie Name: Blackmail
Lyric Name: Pal Pal Dil Ke Paas Lyricists: Rajinder Krishan Music Director: Kalyanji Anandji Singer(s): Kishore Kumar --MALE--
Pal pal dil ke paas tum rehti ho - 2 Jeevan meethi pyaas yeh kehti ho Pal pal dil ke paas tum rehti ho Har shyaam aankhon par tera aanchal laheraaye Har raat yaadon ki baaraat le aaye Main saans leta hoon teri khushboo aati hai Ek maheka maheka sa paigaam laati hai Mere dil ki dhadkan bhi tere geet gaati hai Pal pal dil ke paas tum rehti ho Kal tujhko dekha tha maine apne aangan mein Jaise keh rahi thi tum mujhe baandh lo bandhan mein Yeh kaisa rishta hai, yeh kaise sapne hai Begaane hokar bhi kyoon lagte apne hai Main soch mein rehta hoon darr darrke kehta hoon Pal pal dil ke paas tum rehti ho Tum sochogi kyoon itna main tumse pyaar karoon Tum samjhogi deewana main bhi ikraar karoon Deewaanon ki yeh baatein deewaane jaante hain Jalne mein kya maza hai parwaane jaante hain Tum yunhi jalaate rehna aa aakar khwaabon mein Pal pal dil ke paas tum rehti ho Jeevan meethi pyaas yeh kehti ho Pal pal dil ke paas tum rehti ho -----------------------------------------------------------------------
Movie Name: Chalte Chalte
Lyric Name: Chalte Chalte Lyricists: Amit Khanna Music Director: Bappi Lahiri Singer(s): Kishore Kumar Chalte Chalte Mere Ye Geet Yaad Rakhna Kabhi Alwida Na Kehna Rote Hanste Bas Yoon Hi Tum Gungunate Rehna Kabhi Alwida Na Kehna Pyar Karte Karte Hum Tum Kahin Kho Jaayenge
In Hi Baharon Ke Aanchal Mein Thak Ke So Jaayenge Sapnon Ko Phir Bhi Tum Yoon Hi Sajaate Rehna Kabhi Alwida Na Kehna... Beech Raah Mein Dilbar Bichhad Jayen Kahin Hum Agar
Aur Sooni Si Lage Tumhe Jeevan Ki Yeh Dagar Hum Laut Aayenge Tum Yoon Hi Bulate Rehna Kabhi Alwida Na Kehna... ---------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Prem Geet
Lyric Name: Honton Se Chhoo Lo Tum
Lyricists: Indeevar Music Director: Jagjit Singh Singer(s): Jagjit Singh --MALE--
Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm (Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do) Ban jaao meet mere Meri preet amar kar do Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do (Na umr ki seema ho Na janm ka ho bandhan) Jab pyaar kare koi To dekhe keval mann (Nayi reet chalaakar tum Yeh reet amar kar do) (Aakaash ka soonapan Mere tanha mann mein) Paayal chhankaati tum Aa jaao jeevan mein Saansein dekar apni Sangeet amar kar do Sangeet amar kar do Mera geet amar kar do (Jag ne chheena mujhse Mujhe jo bhi laga pyaara) Sab jeeta kiye mujhse Main har dam hi haara (Tum haarke dil apna Meri jeet amar kar do) Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do ------------------------------------------------------------------------ Movie Name: Saagar
Lyric Name: Saagar Kinaare Lyricists: Javed Akhtar Music Director: R.D. Burman Singer(s): Kishore Kumar and Lata Mangeshkar --MALE--
Saagar kinaare dil yeh pukaare Tu jo nahin to mera koi nahin hai, ho Saagar kinaare --FEMALE--
Saagar kinaare dil yeh pukaare Tu jo nahin to mera koi nahin hai, ho Saagar kinaare --MALE--
Jaage nazaare, jaagi hawaaein Jab pyaar jaaga jaagi fizaaein --FEMALE--
O, pal bhar ko dil ki duniya soyi nahin hai Saagar kinaare dil yeh pukaare Tu jo nahin to mera koi nahin hai, ho Saagar kinaare Laheron pe naache kirnon ki pariya Main koi jaise saagar mein nadiya --MALE--
O, tu hi akeli to khoyi nahin hai --BOTH--
Saagar kinaare dil yeh pukaare Tu jo nahin to mera koi nahin hai, ho Saagar kinaare ------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Sangam
Lyric Name: Har Dil Jo Pyar Karega Lyricists: Shailendra Music Director: Shankar Jaikishan Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar, and Mahendra Kapoor --MALE 1--
Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Aap hamaare dil ko churaakar aankh churaaye jaate hain Yeh ek tarfa rasm-e-vafa hum phir bhi nibhaaye jaate hain Chaahat ka dastoor hai lekin aap ko hi maaloom nahin, o Jis mehfil mein shamma ho parwaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana --FEMALE--
Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Bhooli bisri yaadein mein hanste gaate bachpan ki Raat beraat chali aati hai neend churaane nainan ki Ab keh doongi karte karte kitne saawan beet gaye, ho Jaane kab in aankhon ka sharmaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana --MALE 2--
Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega Deewana Apni apni sabne keh li, lekin hum chupchaap rahe Dard paraaya jisko pyaara, voh kya apni baat kahe Khaamoshi ka yeh afsaana reh jaayega baad mere, o Apna ke har kisi ko begaana jaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega --ALL--
Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega Deewana sekdon mein pehchaana jaayega --MALE 1--
Deewana --FEMALE--
Deewana -------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Sangam
Lyric Name: Yeh Mera Prem Patra Lyricists: Hasrat Jaipuri Music Director: Shankar Jaikishan Singer(s): Mohammad Rafi --MALE--
Meherbaan likhoon, haseena likhoon, ya dilrooba likhoon Hairaan hoon ke aap ko is khat mein kya likhoon (Yeh mera prempatr padhkar ke tum naaraaz na hona Ke tum meri zindagi ho, ke tum meri bandagi ho) Tujhe main chaand kehta tha, magar us mein bhi daag hai Tujhe sooraj main kehta tha, magar us mein bhi aag hai Tujhe itna hi kehta hoon ke mujhko tumse pyaar hai Tumse pyaar hai, tumse pyaar hai Yeh mera prempatr padhkar ke tum naaraaz na hona Ke tum meri zindagi ho, ke tum meri bandagi ho Tujhe ganga main samjhoonga, tujhe jamuna main samjhoonga Tu dil ke paas hai itni, tujhe apna main samjhoonga Agar mar jaoon rooh bhatkegi tere intezaar mein Intezaar mein, intezaar mein (Yeh mera prempatr padhkar ke tum naaraaz na hona Ke tum meri zindagi ho, ke tum meri bandagi ho) .....................................................................................
Movie Name: Shor
Lyric Name: Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyricists: Majrooh Sultanpuri Music Director: Laxmikant-Pyarelal Singer(s): Lata Mangeshkar and Mukesh --FEMALE--
Mm mm mm, mm mm mm mm Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2 Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai La la la la la la, la la la la la la Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai --MALE--
Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai --BOTH--
Ek pyar ka nagma hai --MALE--
Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon --FEMALE--
Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai --BOTH--
Ek pyar ka nagma hai --MALE--
Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai -------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Shree 420
Lyric Name: Pyaar Hua Ikraar Hua
Lyricists: Shailendra Music Director: Shankar Jaikishan Singer(s): Manna Dey and Lata Mangeshkar --MALE--
(Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil) --FEMALE--
(Kehta hai dil rasta mushkil Maaloom nahin hai kahan manzil) --MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil --FEMALE--
Kehta hai dil rasta mushkil Maaloom nahin hai kahan manzil --MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil --FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa) --MALE--
Kaho ki apni preet ka geet na badlega kabhi --FEMALE--
Tum bhi kaho is raah ka meet na badlega kabhi Pyaar jo toota, saath jo chhoota --BOTH--
Chaand na chamkega kabhi --MALE--
Aa ha ha, aa ha ha Aa aa aa, aa aa aa --FEMALE--
(Aa ha ha, aa ha ha Aa aa aa, aa aa aa) --MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil --FEMALE--
Kehta hai dil rasta mushkil Maaloom nahin hai kahan manzil --MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil --FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa) Raatein dason dishaaon se kahengi apni kahaaniyaan --MALE--
Geet hamaare pyaar ke dohraayegi jawaaniyaan --FEMALE--
Main na rahoongi, tum na rahoge Phir bhi rahengi nishaaniyaan --BOTH--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil (Kehta hai dil rasta mushkil Maaloom nahin hai kahan manzil) --MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai Pyaar se phir kyoon darrta hai dil --FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa) --------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Qurbani Lyric Name: Aap Jaisa Koi
Lyricists: Indeevar Music Director: Biddu Singer(s): Nazia Hassan --FEMALE--
(Aap jaisa koi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye Haan haan baat ban jaaye) Phool ko bahaar, bahaar ko chaman Dil ko dil, badan ko badan Har kisi ko chaahiye tan ka milan Kaash mujhpar aisa dil aap ka bhi aaye To baat ban jaaye, haan haan baat ban jaaye Aap jaisa koi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye Haan haan baat ban jaaye O, aap jaisa koi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye Haan haan baat ban jaaye Main insaan hoon, farishta nahin Darr hai bahek na jaaoon kahin Tanha dil na sambhlega pyaar bina yeh tadpega Aap sa kahan hai, dil aap ko hi paaye To baat ban jaaye, haan haan baat ban jaaye Aap jaisa koi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye Haan haan baat ban jaaye O, aap jaisa koi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye Haan haan baat ban jaaye (Haan haan haan haan haan baat ban jaaye Ho ho ho ho ho baat ban jaaye) ------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Mughal-e-Azam
Lyric Name: Pyar Kiya To Darna Kya Lyricists: Shakeel Badayuni Music Director: Naushad Singer(s): Lata Mangeshkar --FEMALE--
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya Pyaar kiya koi chori nahin ki, pyaar kiya Pyaar kiya koi chori nahin ki, chhup chhup aahein bharna kya Jab pyaar kiya to darna kya Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya Aaj kahenge dil ka fasaana, jaan bhi le le chaahe zamaana Maut vohi jo duniya dekhe Maut vohi jo duniya dekhe, ghut ghutkar yun marna kya Jab pyaar kiya to darna kya Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya Unki tamanna dil mein rahegi, shamma isi mehfil mein rahegi - 2 Ishq mein jeena, ishq mein marna Ishq mein jeena, ishq mein marna, aur hamein ab karna kya Jab pyaar kiya to darna kya Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya Chhup na sakega ishq hamaara, chaaron taraf hai unka nazaara --CHORUS--
Chhup na sakega ishq hamaara, chaaron taraf hai unka nazaara --FEMALE--
Parda nahin jab koi khuda se Parda nahin jab koi khuda se, bandon se parda karna kya Jab pyaar kiya to darna kya --CHORUS--
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya --FEMALE--
Pyaar kiya koi chori nahin ki, chhup chhup aahein bharna kya Jab pyaar kiya to darna kya --------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Chaudvin Ka Chand
Lyric Name: Chaudvin Ka Chand Lyricists: Shakeel Badayuni Music Director: Ravi Singer(s): Modh. Rafi Chaudvin Ka Chand Ho, Ya Aaftaab Ho Jo Bhi Ho Tum Khuda Ki Kasam, Lajawab Ho Zulfein Hain Jaise Kaandhe Pe Baadal Jhuke Hue
Aankhen Hain Jaise Maey Ke Pyaale Bhare Hue Masti Hai Jisme Pyaar Ki Tum, Woh Sharaab Ho Chaudvin Ka Chand Ho ... Chehra Hai Jaise Jheel Mein Khilta Hua Kanwal
Ya Zindagi Ke Saaz Pe Chhedi Hui Ghazal Jaane Bahaar Tum Kisi Shaayar Ka Khwaab Ho Chaudvin Ka Chand Ho ... Hothon Pe Khelti Hain Tabassum Ki Bijliyaan
Sajde Tumhari Raah Mein Karti Hain Kaikashaan Duniya-E-Husno-Ishq Ka Tum Hi Shabaab Ho Chaudvin Ka Chand Ho ... -------------------------------------------------------------------------
Movie Name: Gambler
Lyric Name: Choodi Nahin Ye Mera Dil Hai
Music Director: S. D. Burman Singer(s): Kishore Kumar, Lata Mangeshkar Choodi Nahin Ye Mera Dil Hai, Dekho Dekho Toote Na Choodi Nahin Ye Mera ... Neeli Peeli, Rang Birangi,
Pyaar Ki Yeh Saugaat Na Na Na Na Aise Nahin, Dheere Dheere, Chupke Chupke, Daalo In Mein Haath Kaanch Hai Kachcha, Lekin Sachcha Ho In Se Shringaar Paisa Nahin, Sona Nahin, Heera Nahin, Moti Nahin Keemat In Ki Pyaar Phoolon Si, Naazuk Hai, Dekho, Dekho Dekho Dekho Dekho, Toote Na Choodi Nahin Ye Mera ... Koi Bhi Tu, Mera Hai Tu,
Ai Mere Hamaam Gham Mile, Khushi Mile, Kahin Rahen, Kaise Rahen, Bichhdenge Na Ham Phir Bhi Jaaneman Dekho Dekho Toote Na, Choodi Nahin Ye Mera ... -------------------------------------------------------------------------
|
![]() |
![]() |
![]() |
Enter supporting content here |