Home | About Me | My Family | My fevorites | Friends | my state | About India | India (PPT presentation) | interesting images of India | National Anthem | kiel | Erlangen city | Magdeburg city | Poetry and Quotes | Shayeris | Lyrics(hindi) | Lyrics(English) | Photos | fun page | Cartoons | Download Corner | Discussion Board | Classified | Greeting cards | Favorite Links | Contact Me | Guest book
Friends forever
Shayeris

1.Kyun hota hain humko pyaar
Mujhko nahi pata yaar.
Itna zaroor pata hai mujhko
Ek din ye bhi hoga tumko.
Jab hoga tumko pyaar
Hawa mein udoge tum bhi yaar
Khush rahoge hardam tum
Pyaar karoge pyaar se tum.
--------------------------------------------------------------------------
 
2.Khwaab!
Main to khwab dekha karta tha,
par kabhi khwaab mein bhi yeh nahin socha ki,
haqeeqat usse bhi bada khwaab hoga
--------------------------------------------------------------------------
 
3.pyaar..
do nayan mile,
do nayan jhuke,
bas pyaar ho gaya,
jaan nahi pehchaan nahi,
woh yaar ho gaya,
duniya uthi diwar bani,
woh marne ke liye tyaar ho gaya
-----------------------------------------------------------------------------
 
4.Udaas Dil
aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir kyun ye tanhai hai
--------------------------------------------------------------------------
 
5.Tujhe Yaad Karta Hoon..
aanken band kar bhi hum tera deedar karte hain
aee sanam hum to sirf tum se pyar karte hain.
lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta
saans rahte,teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
aakhiri pal tak oo bewafaa , tujehe yaad karta hoon
teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.
----------------------------------------------------------------------------
 
6.khud ko ker bulund itna ke himalaya ke coti pe ja pohuche,
aur bhagvan tumse pooche"abbe,sale,ghade,aab utrega kasee??"
-----------------------------------------------------------------------------
 
7.Chandani Mohabbat
Chandani Chand se hoti hai, setaron se nehi,
mohabbat ek se hoti hai hazaron se nehi
-----------------------------------------------------------------------------